Zamana Jhuk Gaya Hota Agar Lahja Badal Lete

zamana jhuk gaya hota agar lahja badal lete

magar manzil nahin milti agar rasta badal lete

bahut taza hawa aati bahut se phul khil jate

makan-e-dil ka tum apne agar naqsha badal lete

KHata tum se hui aaKHir tumhaara kya bigaD jata

ye bazi bhi tumhaari thi agar mohara badal lete

abhi to aaine se hai musalsal dosti apni

shanasai kahan rahti agar chehra badal lete

mere harfon ke ye moti mere hathon bikhar jate

ghubar be-yaqini mein agar rasta badal lete

falak ke is kinare ka wo lamha hum ko mil jata

mila tha ek hi lamha agar lamha badal lete

bahut be-rang chehron par bahut se rang aa jate

kisi achchhe fasane se agar qissa badal lete

isi KHwahish ke daman mein wahi sikke khanak uThte

sada tabdil kar lete agar kasa badal lete

(1520) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Zamana Jhuk Gaya Hota Agar Lahja Badal Lete In English By Famous Poet Farah Iqbal. Zamana Jhuk Gaya Hota Agar Lahja Badal Lete is written by Farah Iqbal. Read famous Poem Zamana Jhuk Gaya Hota Agar Lahja Badal Lete for youth and Student by Farah Iqbal. Free Download Zamana Jhuk Gaya Hota Agar Lahja Badal Lete in PDF.