Ashk-e-gham Aankhon Ne Barsaya Bahut

ashk-e-gham aankhon ne barsaya bahut

jaane kyun un ka KHayal aaya bahut

us ko din hum ne duaen bar-ha

zindagi mein jis ne taDpaya bahut

jis ko apna dil samajhte the use

apna kam aur aap ka paya bahut

ban ke raaz-e-zindagi dil mein rahe

zindagi mein phir bhi tarsaya bahut

daulat o hashmat pe nazan ho koi

hai hamein to dil ka sarmaya bahut

dhup ki saKHti to thi lekin 'faraaz'

zindagi mein phir bhi tha saya bahut

(650) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ashk-e-gham Aankhon Ne Barsaya Bahut In English By Famous Poet Faraz Sultanpuri. Ashk-e-gham Aankhon Ne Barsaya Bahut is written by Faraz Sultanpuri. Read famous Poem Ashk-e-gham Aankhon Ne Barsaya Bahut for youth and Student by Faraz Sultanpuri. Free Download Ashk-e-gham Aankhon Ne Barsaya Bahut in PDF.