Gham Ka Baadal

gham ka baadal gar baras jae to ubhre aaftab

gham-samundar

motiyon ki kan hai

ya rag-e-sang-e-giran-maya ki ek pahchan hai

gham wo aaina ki jis mein aks-e-zulf-e-ambarin

surat-e-arz-o-sama

jalwa-numa

KHwab-e-zar-e-zindagi ke waste gham ka partaw

partaw-e-KHurshid hai

gham ka baadal gar baras jae to ubhre aaftab

(769) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Gham Ka Baadal In English By Famous Poet Fareed Ishrati. Gham Ka Baadal is written by Fareed Ishrati. Read famous Poem Gham Ka Baadal for youth and Student by Fareed Ishrati. Free Download Gham Ka Baadal in PDF.