Fankar Aur Maut

jab mujhe ye KHayal aata hai

ek fankar mar nahin sakta

us ki taKHliq zinda rahti hai

us ka kirdar mar nahin sakta

yaad aate hain mujh ko wo fankar

zindagi-bhar jo zahar pi ke jiye

gham ki taswir ban ke zinda rahe

dahr-e-fani mein apne fan ke liye

aur is dahr ke nikammon ne

un ki rahon mein KHar bikhrae

jab ye dasht-e-junun mein aur baDhe

un ke daman ke tar uljhae

lakh roka unhen zamane ne

chal diye jis taraf chalte rahe

chand rahen nikal kar apni

jawedan apna nam karte rahe

aaj duniya ke is andhere mein

jal rahe hain wahi charagh jinhen

aandhiyon ne jalaya tha ek rose

zindagi ki hasin rahon mein

ek fankar hai charagh wahi

jis ko koi bujha nahin sakta

jagti jagmagati rahon se

koi jis ko haTa nahin sakta

ban ke fankar sochta hun main

apni hasti ko jawedan kar lun

raaz apna bata ke duniya ko

sari duniya ko raazdan kar lun

maut aae to us se hans ke kahun

main hun fankar mar nahin sakta

meri taKHliq zinda rahti hai

mera kirdar mar nahin sakta

(722) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Fankar Aur Maut In English By Famous Poet Fareed Ishrati. Fankar Aur Maut is written by Fareed Ishrati. Read famous Poem Fankar Aur Maut for youth and Student by Fareed Ishrati. Free Download Fankar Aur Maut in PDF.