Pahunch Ke Hum Sar-e-manzil Jinhen Bhula Na Sake

pahunch ke hum sar-e-manzil jinhen bhula na sake

wo ham-safar the jo kuchh dur sath aa na sake

tamam umr pashemaniyon mein bit gai

ba-qadr-e-shauq mohabbat ke naz uTha na sake

mujhe KHayal hai un dil-girafta kaliyon ka

jinhen nasim-e-sahar chheD de khila na sake

kuchh aise dard bhi hain zindagi ki rahon mein

jahan hijab-e-tabassum bhi kaam aa na sake

karam ki aas ke sayon mein bujh gaya wo charagh

hawa-e-yas ke jhonke jise bujha na sake

andheri shab thi sitaron se kya sukun milta

sitare bhi to bahut der jagmaga na sake

ghazal ke husn ka ehsas us ko kya 'jawed'

KHulus-e-narmi-e-guftar ko jo pa na sake

(785) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Pahunch Ke Hum Sar-e-manzil Jinhen Bhula Na Sake In English By Famous Poet Fareed Javed. Pahunch Ke Hum Sar-e-manzil Jinhen Bhula Na Sake is written by Fareed Javed. Read famous Poem Pahunch Ke Hum Sar-e-manzil Jinhen Bhula Na Sake for youth and Student by Fareed Javed. Free Download Pahunch Ke Hum Sar-e-manzil Jinhen Bhula Na Sake in PDF.