Tu Meri Ibtida Tu Meri Intiha Main Samundar Hun Tu Sahilon Ki Hawa

tu meri ibtida tu meri intiha main samundar hun tu sahilon ki hawa

teri manzil bane mera har rasta main samundar hun tu sahilon ki hawa

roz-o-shab mauj-dar-mauj hun dar-ba-dar roz-o-shab sahilon par paTakta hun sar

hath aata nahin phir bhi daman tera main samundar hun tu sahilon ki hawa

meri shoridgi ke ye tufan sab meri KHamoshiyon ke ye arman sab

kuchh nahin ek teri aarzu ke siwa main samundar hun tu sahilon ki hawa

tu hi manzil meri tu hi had hai meri tujh se wabastagi nam-zad hai meri

tu na ho gar to main KHud mein kho jaunga main samundar hun tu sahilon ki hawa

KHushbuon se teri ye mahakta safar yun hi jari rahega mere auj par

tu masafat meri main tera rasta main samundar hun tu sahilon ki hawa

(878) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tu Meri Ibtida Tu Meri Intiha Main Samundar Hun Tu Sahilon Ki Hawa In English By Famous Poet Farhan Salim. Tu Meri Ibtida Tu Meri Intiha Main Samundar Hun Tu Sahilon Ki Hawa is written by Farhan Salim. Read famous Poem Tu Meri Ibtida Tu Meri Intiha Main Samundar Hun Tu Sahilon Ki Hawa for youth and Student by Farhan Salim. Free Download Tu Meri Ibtida Tu Meri Intiha Main Samundar Hun Tu Sahilon Ki Hawa in PDF.