Udas Sham Mein Pazhmurda Baad Ban Ke Na Aa

udas sham mein pazhmurda baad ban ke na aa

jo aa sake to KHud aa apni yaad ban ke na aa

kabhi sahar bhi to ban ai visal ke mausam

sada yun hi shab-e-marg-e-murad ban ke na aa

tujhe tere mah o anjum ka wasta ai raat

mere in ujle daron par sawad ban ke na aa

kitab-e-zist KHuda-ra koi ghazal bhi suna

shikast-e-jaan ki faqat ruedad ban ke na aa

bhali lage to ise gunguna bhi ai lab-e-yar

meri ghazal pe faqat harf-e-dad ban ke na aa

utar zarur magar aah subh-e-azadi

kisi zamin pe wajh-e-fasad ban ke na aa

(748) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Udas Sham Mein Pazhmurda Baad Ban Ke Na Aa In English By Famous Poet Farhan Salim. Udas Sham Mein Pazhmurda Baad Ban Ke Na Aa is written by Farhan Salim. Read famous Poem Udas Sham Mein Pazhmurda Baad Ban Ke Na Aa for youth and Student by Farhan Salim. Free Download Udas Sham Mein Pazhmurda Baad Ban Ke Na Aa in PDF.