Jalwa Hai Wo Ki Tab-e-nazar Tak Nahin Rahi

jalwa hai wo ki tab-e-nazar tak nahin rahi

dekha use to apni KHabar tak nahin rahi

ehsas par garan raha ehsas ka tilism

ye umr ki takan safar tak nahin rahi

jin par tumhaare aane se khilte rahe gulab

ab dil mein aisi rahguzar tak nahin rahi

ek din wo ghar se nikle nahin sair ke liye

ab KHwahish-e-numu mein sahar tak nahin rahi

jis ko chhua tha hum ne kaDi dhup jhel kar

wo chhanw bhi to zer-e-shajar tak nahin rahi

KHush hai wo aankh kar-e-masihai chhoD kar

tasir us ki zaKHm-e-jigar tak nahin rahi

tum kaise mausamon mein hamein milne aae ho

peDon pe ab to shaKH-e-samar tak nahin rahi

'farhat' main dastaken liye hathon mein rah gaya

meri rasai ab tere dar tak nahin rahi

(750) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jalwa Hai Wo Ki Tab-e-nazar Tak Nahin Rahi In English By Famous Poet Farhat Abbas. Jalwa Hai Wo Ki Tab-e-nazar Tak Nahin Rahi is written by Farhat Abbas. Read famous Poem Jalwa Hai Wo Ki Tab-e-nazar Tak Nahin Rahi for youth and Student by Farhat Abbas. Free Download Jalwa Hai Wo Ki Tab-e-nazar Tak Nahin Rahi in PDF.