KHayal Aatishin KHwabida Suraten Di Hain

KHayal aatishin KHwabida suraten di hain

saKHa-e-hijr ne ab bhi numaishen di hain

ye ab jo KHwab zamanon ne dastaken di hain

pas-e-murad haqaeq ki manzilen di hain

mere libas ke paiwand-e-muflisi pe na ja

mere junun ne mohabbat ko KHilaten di hain

mere mizaj ka mausam ajib mausam hai

ki jis ke gham ne bhi hasti ko raunaqen di hain

hum ahl-e-ishq ne tawan rahaten de kar

hudud-e-arsa-e-wahshat ko wusaten di hain

chalo ye baat ghalat hai to phir batao mujhe

har ek hath mein kis kis ne mishalen di hain

shuur jae to fursat se nind bhi aae

fishaar-e-zat ne 'farhat' ko ranjishen di hain

(944) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

KHayal Aatishin KHwabida Suraten Di Hain In English By Famous Poet Farhat Abbas. KHayal Aatishin KHwabida Suraten Di Hain is written by Farhat Abbas. Read famous Poem KHayal Aatishin KHwabida Suraten Di Hain for youth and Student by Farhat Abbas. Free Download KHayal Aatishin KHwabida Suraten Di Hain in PDF.