Shahr-dar-shahr Dida-war BhaTke

shahr-dar-shahr dida-war bhaTke

zoam-e-baatil mein tajwar bhaTke

KHud-sari mein jo mo'atabar bhaTke

ham-safar un ke be-KHabar bhaTke

fan ki pagDanDiyon pe chalte hue

kabhi bhaTke to be-hunar bhaTke

hum jo bhaTke to na-shanasa the

rahbar kyun idhar udhar bhaTke

ek aalam ko jis ne bhaTkaya

kabhi yun ho ki wo nazar bhaTke

apni manzil ka ilm hote hue

phir bhi hum jaan-bujh kar bhaTke

zindagi ke libas-e-KHasta mein

dhup mein hum barahna-sar bhaTke

kis mein himmat thi hum ko bhaTkata

apni KHwahish pe umr-bhar bhaTke

hae us gul-badan ki hasrat mein

yun bhaTakna na tha magar bhaTke

us ko bhi pa sake nahin 'farhat'

jis ki KHwahish mein dar-ba-dar bhaTke

(865) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Shahr-dar-shahr Dida-war BhaTke In English By Famous Poet Farhat Abbas. Shahr-dar-shahr Dida-war BhaTke is written by Farhat Abbas. Read famous Poem Shahr-dar-shahr Dida-war BhaTke for youth and Student by Farhat Abbas. Free Download Shahr-dar-shahr Dida-war BhaTke in PDF.