Ajib Tajraba Aankhon Ko Hone Wala Tha

ajib tajraba aankhon ko hone wala tha

baghair nind main kal raat sone wala tha

tabhi wahin mujhe us ki hansi sunai paDi

main us ki yaad mein palken bhigone wala tha

kisi badan ki sada ne bacha liya mujh ko

main warna ruh ke jangal mein khone wala tha

ye soch soch ke ab to hansi si aati hai

shuru-e-ishq mein kitna main rone wala tha

kabhi hui na mulaqat shahr se meri

main jab bhi so ke uTha shahr sone wala tha

agar yahi hai mohabbat to hone wali thi

wo milne wala tha mujh ko main khone wala tha

mujhe nikal diya taziyat ke jalse se

ki bas wahan main akela hi rone wala tha

ye mera dida-e-tar KHushk ho gaya warna

mere liye bhi yahan koi rone wala tha

is aaine ne usulon pe zid na ki ki warna

main apne aap ke bar-aks hone wala tha

kisi ne mahfil-e-duniya ki dhun badal Dali

zamana jab mera ham-raqs hone wala tha

wahan bas ek dil KHali tha aur miyan-'ehsas'

na ishq un ko hua tha na hone wala tha

(796) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ajib Tajraba Aankhon Ko Hone Wala Tha In English By Famous Poet Farhat Ehsas. Ajib Tajraba Aankhon Ko Hone Wala Tha is written by Farhat Ehsas. Read famous Poem Ajib Tajraba Aankhon Ko Hone Wala Tha for youth and Student by Farhat Ehsas. Free Download Ajib Tajraba Aankhon Ko Hone Wala Tha in PDF.