Ahl-e-badan Ko Ishq Hai Bahar Ki Koi Chiz

ahl-e-badan ko ishq hai bahar ki koi chiz

bahar kise mili hai magar ghar ki koi chiz

bazar rose aaega jis ghar mein be-daregh

bazar bhi to jaegi us ghar ki koi chiz

qatre ka e'timad bhi kuchh be-sabab nahin

qatre ke pas bhi hai samundar ki koi chiz

aaj us ke lams-e-garm se jaise pighal gai

mujh mein dhaDak rahi thi jo patthar ki koi chiz

sara hujum hai kisi apni talash ka

khoi gai hai shahr mein aksar ki koi chiz

ye hai kisi visal ki hasrat ki KHauf-e-hijr

chubhti hai raat-bhar mujhe bistar ki koi chiz

'ehsas' shairi mein ghulata hai falsafa

har sher arz karta hai jauhar ki koi chiz

(759) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ahl-e-badan Ko Ishq Hai Bahar Ki Koi Chiz In English By Famous Poet Farhat Ehsas. Ahl-e-badan Ko Ishq Hai Bahar Ki Koi Chiz is written by Farhat Ehsas. Read famous Poem Ahl-e-badan Ko Ishq Hai Bahar Ki Koi Chiz for youth and Student by Farhat Ehsas. Free Download Ahl-e-badan Ko Ishq Hai Bahar Ki Koi Chiz in PDF.