Be-rang BaDe Shahr Ki Hasti Bhi Wahin Thi

be-rang baDe shahr ki hasti bhi wahin thi

ek rang uDati hui titli bhi wahin thi

bazar ke jadu ki na thi kaT mere pas

jo chiz buri thi wahi achchhi bhi wahin thi

bas ek tera chehra hi na tha mahfil-e-gul mein

bela bhi tha champa bhi chameli bhi wahin thi

is baDh mein karta tha jahan bhi main kinara

andar se ubalti meri naddi bhi wahin thi

sailab-e-badan us ka jo aaya to gaya main

har chand mere jism ki kashti bhi wahin thi

ai ishq jahan tu ne mujhe jama kiya tha

miTTi meri aaKHir ko bikharni bhi wahin thi

afsos gai qabr bhi 'ehsas'-miyan ki

ye qabr jahan thi meri miTTi bhi wahin thi

(757) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Be-rang BaDe Shahr Ki Hasti Bhi Wahin Thi In English By Famous Poet Farhat Ehsas. Be-rang BaDe Shahr Ki Hasti Bhi Wahin Thi is written by Farhat Ehsas. Read famous Poem Be-rang BaDe Shahr Ki Hasti Bhi Wahin Thi for youth and Student by Farhat Ehsas. Free Download Be-rang BaDe Shahr Ki Hasti Bhi Wahin Thi in PDF.