Bimar Ho Gaya Hun Shifa-KHana Chahiye

bimar ho gaya hun shifa-KHana chahiye

ye sara shahr mujh ko bayabana chahiye

sanson ki zarb se na kaTega hamara habs

hum ko to ek pura hawa-KHana chahiye

yun hi dikha rahi hai mohabbat ke sabz bagh

mere badan ko ruh se harjaana chahiye

taKHir ho gai to bikhar jaega badan

aaghosh-e-yar ab tujhe khul jaana chahiye

phir dawat-e-gunah mili ek nigah se

phir meri parsai ko sharmana chahiye

wo jalwa samne ho to kaisi dua-salam

bas dekhte hi kaam pe lag jaana chahiye

dekhen to kaun jata hai mahmil mein KHwab ke

tabir ke ghazal ko dauDana chahiye

udham macha rahe hain bahut log shahr ke

'ehsas-ji' ko dasht se bulwana chahiye

(1387) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Bimar Ho Gaya Hun Shifa-KHana Chahiye In English By Famous Poet Farhat Ehsas. Bimar Ho Gaya Hun Shifa-KHana Chahiye is written by Farhat Ehsas. Read famous Poem Bimar Ho Gaya Hun Shifa-KHana Chahiye for youth and Student by Farhat Ehsas. Free Download Bimar Ho Gaya Hun Shifa-KHana Chahiye in PDF.