Ek Ghazal Kahte Hain Ek Kaifiyyat Tari Kar Lete Hain
ek ghazal kahte hain ek kaifiyyat tari kar lete hain
yun duniya par agli chaDhai ki tayyari kar lete hain
kitni mohabbat karta hai wo kaise kahen gar puchh le koi
so aadad-o-shumar ki KHatir zaKHm-shumari kar lete hain
us ke KHwab uThae nahin uThte halki-phulki aaankhon se
aaise mein hum raaten jag ke palken bhaari kar lete hain
bahut ziyaada sehhat-mandi ek tarah ki be-adabi hai
us se milne jate hain to kuchh bimari kar lete hain
jab bhi lahu mein rang-e-KHizan ki saKHti baDhne lag jati hai
chand lab o ruKHsar bula kar jashn-e-bahaari kar lete hain
sabza-e-jaan ke hara-bhara rahne ki ek yahi surat hai
sukha paDte hi aankhon ki nahren jari kar lete hain
itna mal kahan ki dukan bazar-e-mohabbat mein le paen
chhoTa-moTa karobar-e-tah-bazari kar lete hain
aatish-e-shauq siwa karne ko munh phere rahte hain us se
hum se sada-lauh bhi akasr ye hushyari kar lete hain
naKHl-e-umid hara ho jata hai akasr baran-e-karam se
so hum akasr us ke dar par KHud ko bhikari kar lete hain
wo sirf ek ke pas hi rah ke chala jae to KHair nahin hai
ruh o badan aaise mauqon par mara-mari kar lete hain
panw hawa jaise hain hamare jin ka naqsh nahin rah pata
shadi-shuda har rahguzar kuchh din mein kunwari kar lete hain
afsar-e-duniya saKHt sahi 'farhat-ehsas' hain aaKHir hum bhi
daftar mein bhi apni si kuchh kar-guzari kar lete hain
(1237) Peoples Rate This