Ek Hawa Aai Hai Diwar Mein Dar Karne Ko

ek hawa aai hai diwar mein dar karne ko

koi darwaza khula hai mujhe ghar karne ko

dur sahra mein koi zulf si lahrai hai

koi baadal sa uDa hai mujhe tar karne ko

nazar aai hai kisi chand ki parchhain si

shab-e-hasti mein mere sath safar karne ko

aa mujhe chhu ke hara rang bichha de mujh par

main bhi ek shaKH si rakhta hun shajar karne ko

ai sadaf sun tujhe phir yaad dila deta hun

main ne ek chiz tujhe di thi guhar karne ko

(728) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ek Hawa Aai Hai Diwar Mein Dar Karne Ko In English By Famous Poet Farhat Ehsas. Ek Hawa Aai Hai Diwar Mein Dar Karne Ko is written by Farhat Ehsas. Read famous Poem Ek Hawa Aai Hai Diwar Mein Dar Karne Ko for youth and Student by Farhat Ehsas. Free Download Ek Hawa Aai Hai Diwar Mein Dar Karne Ko in PDF.