Ghar Mein Chizen BaDh Rahi Hain Zindagi Kam Ho Rahi Hai

ghar mein chizen baDh rahi hain zindagi kam ho rahi hai

dhire dhire ghar ki apni raushni kam ho rahi hai

shahr ke bazar ki raunaq mein dil bujhne lage hain

KHub KHush hone ki KHwahish mein KHushi kam ho rahi hai

ab kisi ko bhi chhuo lagta hai pahle se chhua sa

wo jo thi pahle-pahal ki sansani kam ho rahi hai

tai-shuda lafzon mein karte hain hum izhaar-e-mohabbat

ab to pahle ishq mein bhi an-kahi kam ho rahi hai

le gaya ye shahr us ko mere pahlu se uTha kar

mujh ko lagta hai meri diwangi kam ho rahi hai

husn ka bazar aana jaana bhi kuchh baDh raha hai

kuchh meri aankhon ki bhi pakizgi kam ho rahi hai

waqt DanDi marta hai tolne mein mera hissa

din bhi chhoTe paD rahe hain raat bhi kam ho rahi hai

shahr ki koshish ki KHud ko aur pechida bana le

meri ye tashwish meri sadgi kam ho rahi hai

sahilon ki bastiyan ye dekh kar KHamosh kyun hain

bastiyon ke phailne se hi nadi kam ho rahi hai

sham aate hi tumhein rahti hai ghar jaane ki jaldi

'farhat-ehsas' in dinon aawargi kam ho rahi hai

(798) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ghar Mein Chizen BaDh Rahi Hain Zindagi Kam Ho Rahi Hai In English By Famous Poet Farhat Ehsas. Ghar Mein Chizen BaDh Rahi Hain Zindagi Kam Ho Rahi Hai is written by Farhat Ehsas. Read famous Poem Ghar Mein Chizen BaDh Rahi Hain Zindagi Kam Ho Rahi Hai for youth and Student by Farhat Ehsas. Free Download Ghar Mein Chizen BaDh Rahi Hain Zindagi Kam Ho Rahi Hai in PDF.