Hadd-e-badan Mein Meri Zat Aa Nahin Rahi Hai

hadd-e-badan mein meri zat aa nahin rahi hai

bhagi hui hai aisi hath aa nahin rahi hai

ek sath kar raha hun itni bahut si baaten

honThon pe kahne wali baat aa nahin rahi hai

suraj mera paDa hai aankhon ke raste mein

din Dhal chuka hai kab ka raat aa nahin rahi hai

bazar mein ghira hun aur shor ho raha hai

meri samajh mein koi baat aa nahin rahi hai

duniya se baat kar ke bad-zat ho gaya main

ab mere ghar meri hi zat aa nahin rahi hai

jis raat farhat-ehsas apni hadon se nikle

wo man ki kokh jaisi raat aa nahin rahi hai

(652) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hadd-e-badan Mein Meri Zat Aa Nahin Rahi Hai In English By Famous Poet Farhat Ehsas. Hadd-e-badan Mein Meri Zat Aa Nahin Rahi Hai is written by Farhat Ehsas. Read famous Poem Hadd-e-badan Mein Meri Zat Aa Nahin Rahi Hai for youth and Student by Farhat Ehsas. Free Download Hadd-e-badan Mein Meri Zat Aa Nahin Rahi Hai in PDF.