Hamein Jab Apna Taaruf Karana PaDta Hai

hamein jab apna taaruf karana paDta hai

na jaane kitne dukhon ko dabana paDta hai

ab aa raha ho koi jism is tasawwuf se

to hum ko halqa-e-baiat baDhana paDta hai

kisi ko nind na aati ho raushni mein agar

to KHud charagh-e-mohabbat bujhana paDta hai

bahut ziyaada hain KHatre badan ki mahfil mein

par apni ek hi mahfil hai jaana paDta hai

KHuda hai qadir-e-mutlaq ye baat khulti hai tab

jab us se kaam koi kafirana paDta hai

bahut ziyaada KHushi se wafat pa gaya ho

to aise dil ko dukha kar jilana paDta hai

hamare pas yahi shairi ka sikka hai

ulaT-palaT ke isi ko chalana paDta hai

suna hai tum mere dil ki taraf se guzre the

isi taraf to mera karKHana paDta hai

ajib tarz-e-taghazzul hai ye miyan 'ehsas'

ki jism-o-ruh ko ek sur mein gana paDta hai

(758) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hamein Jab Apna Taaruf Karana PaDta Hai In English By Famous Poet Farhat Ehsas. Hamein Jab Apna Taaruf Karana PaDta Hai is written by Farhat Ehsas. Read famous Poem Hamein Jab Apna Taaruf Karana PaDta Hai for youth and Student by Farhat Ehsas. Free Download Hamein Jab Apna Taaruf Karana PaDta Hai in PDF.