Hui Ek KHwab Se Shadi Meri Tanhai Ki
hui ek KHwab se shadi meri tanhai ki
pahli beTi hai udasi meri tanhai ki
abhi malum nahin kitne hain zati asbab
kitni wajhen hain samaji meri tanhai ki
ja ke dekha to khula raunaq-e-bazar ka raaz
ek ek chiz bani thi meri tanhai ki
shahr-dar-shahr jo ye anjumanen hain aabaad
tarbiyat-gahen hain sari meri tanhai ki
sirf aaina-e-aghosh-e-mohabbat mein mili
ek tanhai jawabi meri tanhai ki
saf hai chehra-e-qatil meri aankhon mein magar
mo'atabar kab hai gawahi meri tanhai ki
hasil-e-wasl sifar hijr ka hasil bhi sifar
jaane kaisi hai riyazi meri tanhai ki
kisi haalat mein bhi tanha nahin hone deti
hai yahi ek KHarabi meri tanhai ki
main jo yun phirta hun mai-KHanon mein but-KHanon mein
hai yahi roza namazi meri tanhai ki
'farhat-ehsas' wo ham-zad hai mera jis ne
shahr mein dhum macha di meri tanhai ki
(1139) Peoples Rate This