Hum Apna Ism Le Kar Shahr-e-sifat Se Nikle

hum apna ism le kar shahr-e-sifat se nikle

phir marifa-o-nakra sare lughat se nikle

lafzon mein us ne apne aaine rakh diye the

parda-nashin ke sare aks us ke KHat se nikle

kya rasti hamari apni kaji se nikli

hum kya durust ho kar apne ghalat se nikle

kaj-fahmiyon ne jitni hajwen likhin hamari

hum utne hi ziyaada apni likhat se nikle

bahar gali mein bhaari fauj-e-KHuda paDi thi

hum kafir-e-mohabbat na-chaar chhat se nikle

hum jo bacha bacha ke rakhte rahe the KHud ko

kangal ho ke aaKHir apni bachat se nikle

kaTa gaya tha hum ko ek KHas zawiye se

ye sher sab qalam ke us KHas qat se nikle

becha hai kauDiyon ke mol apna mal sara

aur is tarah KHud apni baDhti khapat se nikle

sufi the hum magar the ruhaniyat ke qaidi

aaKHir ko apni miTTi ki marifat se nikle

jughrafiya thin ya phir tariKH sari jihatan

hum ho ke 'farhat-ehsas' apni jihat se nikle

(883) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hum Apna Ism Le Kar Shahr-e-sifat Se Nikle In English By Famous Poet Farhat Ehsas. Hum Apna Ism Le Kar Shahr-e-sifat Se Nikle is written by Farhat Ehsas. Read famous Poem Hum Apna Ism Le Kar Shahr-e-sifat Se Nikle for youth and Student by Farhat Ehsas. Free Download Hum Apna Ism Le Kar Shahr-e-sifat Se Nikle in PDF.