Hum Apne Aapko Apne Se Kam Bhi Karte Rahte Hain

hum apne aap ko apne se kam bhi karte rahte hain

aur is nuqsan par bekar gham bhi karte rahte hain

uThate rahte hain din-raat diwar-e-wajud apni

magar diwar ko thoDa sa KHam bhi karte rahte hain

hum us ke husn ka jadu bhi chaDhne dete hain KHud par

aur apne aap par kuchh paDh ke dam bhi karte rahte hain

hamein bhi shahr ki raunaq bala le jati hai aksar

magar hum shahr ki raunaq se ram bhi karte rahte hain

hamein jab KHub chaDh jata hai nashsha apni hasti ka

to us nashshe mein hum raqs-e-adam bhi karte rahte hain

ye aaina hamare ru-ba-ru jo kuchh bhi karta hai

wahi sab aaine ke sath hum bhi karte rahte hain

kabhi jab farhat-ehsas apna afsana sunate hain

use apni haqiqat ka alam bhi karte rahte hain

(839) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hum Apne Aapko Apne Se Kam Bhi Karte Rahte Hain In English By Famous Poet Farhat Ehsas. Hum Apne Aapko Apne Se Kam Bhi Karte Rahte Hain is written by Farhat Ehsas. Read famous Poem Hum Apne Aapko Apne Se Kam Bhi Karte Rahte Hain for youth and Student by Farhat Ehsas. Free Download Hum Apne Aapko Apne Se Kam Bhi Karte Rahte Hain in PDF.