Humne Parind-e-wasl Ke Par KaT Dale Hain

hum ne parind-e-wasl ke par kaT Dale hain

jazbaat uTha rahe the jo sar kaT Dale hain

likhni thi hum ko ek nai dastan-e-hijr

sab waqiat-e-dida-e-tar kaT Dale hain

baiThi rahe usi qafas-e-unsari mein ab

tegh-e-badan ne ruh ke par kaT Dale hain

ab sher zor-e-be-hunari se likhenge hum

duniya ne sare dast-e-hunar kaT Dale hain

ji chahta hai dast-e-taraqqi ko kaT dun

jis ne hamare sare shajar kaT Dale hain

naqqad-e-KHushk-zauq ke ghar ho raha hai jashn

aaj us ne sare misra-e-tar kaT Dale hain

shamen mukashfat-e-badan ki jalani thin

sab marifat ke tar-e-nazar kaT Dale hain

(797) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Humne Parind-e-wasl Ke Par KaT Dale Hain In English By Famous Poet Farhat Ehsas. Humne Parind-e-wasl Ke Par KaT Dale Hain is written by Farhat Ehsas. Read famous Poem Humne Parind-e-wasl Ke Par KaT Dale Hain for youth and Student by Farhat Ehsas. Free Download Humne Parind-e-wasl Ke Par KaT Dale Hain in PDF.