Ishq Mein Kitne Buland Imkan Ho Jate Hain Hum

ishq mein kitne buland imkan ho jate hain hum

ek badan hote hue do jaan ho jate hain hum

ek nai tahzib le kar aane wala hai junun

us ke istiqbaal mein viran ho jate hain hum

sari girhen khol deta hai ye aab-e-KHush-visal

ishq kar ke kis qadar aasan ho jate hain hum

sahab-e-KHana bana aata hai jab aata hai ishq

aur apne ghar mein KHud mehman ho jate hain hum

apni aaghosh-e-rawan mein ghusl kar lene de yar

ghusl kar ke ek nae insan ho jate hain hum

hum jo ye saman ghar late hain KHud ko bech kar

ek din ghar ka yahi saman ho jate hain hum

us ki aankhon ke ishaare karte rahte hain raqam

dhire dhire sahab-e-diwan ho jate hain hum

(761) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ishq Mein Kitne Buland Imkan Ho Jate Hain Hum In English By Famous Poet Farhat Ehsas. Ishq Mein Kitne Buland Imkan Ho Jate Hain Hum is written by Farhat Ehsas. Read famous Poem Ishq Mein Kitne Buland Imkan Ho Jate Hain Hum for youth and Student by Farhat Ehsas. Free Download Ishq Mein Kitne Buland Imkan Ho Jate Hain Hum in PDF.