Jab Usko Dekhte Rahne Se Thakne Lagta Hun

jab us ko dekhte rahne se thakne lagta hun

to apne KHwab ki palken jhapakne lagta hun

jise bhi pyas bujhani ho mere pas rahe

kabhi bhi apne labon se chhalakne lagta hun

hawa-e-hijr dikhati hai sabz bagh-e-visal

to bagh-e-wahm mein apne mahakne lagta hun

chhiDakni paDti hai KHud par kisi badan ki aag

main apni aag mein jab bhi dahakne lagta hun

main KHud ko chakh nahin pata ki toD leti hai

mujhe hawa-e-KHizan jab bhi pakne lagta hun

badan ki kan se hire nikalne lagte hain

main apni raat mein aksar chamakne lagta hun

wo ek manzar-e-napaid hai ki jis ke liye

main aankh hone ki KHatir phaDakne lagta hun

parinde bolne lagte hain mujh mein raat gae

to shaKH-e-sher pe main bhi chahakne lagta hun

jo kar-nama kabhi koi mujh se ho jae

to apni piTh main KHud hi thapakne lagta hun

sunane lagta hai ashaar-e-ishq jab 'ehsas'

main us ke samne dil sa dhaDakne lagta hun

(753) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jab Usko Dekhte Rahne Se Thakne Lagta Hun In English By Famous Poet Farhat Ehsas. Jab Usko Dekhte Rahne Se Thakne Lagta Hun is written by Farhat Ehsas. Read famous Poem Jab Usko Dekhte Rahne Se Thakne Lagta Hun for youth and Student by Farhat Ehsas. Free Download Jab Usko Dekhte Rahne Se Thakne Lagta Hun in PDF.