JhagDe KHuda Se Ho Gae Ahd-e-shabab Mein

jhagDe KHuda se ho gae ahd-e-shabab mein

tab se gire paDe hain jahan-e-KHarab mein

kab ka wo ja chuka tha khuli aankh jab meri

main us ko dekhta hi raha jaise KHwab mein

rangini-e-libas ka jamm-e-ghafir hai

shayad ki main na aaun tere intiKHab mein

mujh par zakat husn-e-suKHan ki hui hai farz

shamil hua hun sher ke ahl-e-nisab mein

uTTho ki aaina bhi kahin ka kahin gaya

rah jaoge yahin jo rahoge hijab mein

shayad qalam dawat ki fursat na ho use

mere hi KHat ko bhej diya hai jawab mein

chhup-chhup ke dekhta tha taghaful ki aaD mein

us ne barat liya hai mujhe ijtinab mein

wo sham-e-intizar ki lau kar gaya mujhe

main raushni-e-taba se hun pech-o-tab mein

aain hawaen dur se bagh-e-bahisht ki

KHushbu bhi aai der se kar-e-sawab mein

aaina-e-nigah mein talim aur thi

bar-aks ho gaya jo likha tha kitab mein

main rahne wala sham o sahar ke pare ka hun

Dala gaya hun sham o sahar ke hisab mein

is be-hisi ke bich mein 'ehsas' ki ghazal

dekho to ye sukut suKHan ke jawab mein

(968) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

JhagDe KHuda Se Ho Gae Ahd-e-shabab Mein In English By Famous Poet Farhat Ehsas. JhagDe KHuda Se Ho Gae Ahd-e-shabab Mein is written by Farhat Ehsas. Read famous Poem JhagDe KHuda Se Ho Gae Ahd-e-shabab Mein for youth and Student by Farhat Ehsas. Free Download JhagDe KHuda Se Ho Gae Ahd-e-shabab Mein in PDF.