Jis Ko Jaisa Bhi Hai Darkar Use Waisa Mil Jae

jis ko jaisa bhi hai darkar use waisa mil jae

tu mayassar ho mujhe aur tujhe duniya mil jae

sang se sang ke Takrane ka manzar dekhun

kabhi aisa ho ki tujh ko koi tujh sa mil jae

ye dhaDakta hua dil us ke hawale kar dun

ek bhi shaKHs agar shahr mein zinda mil jae

saKHt sardi mein ThiThurti hai bahut ruh meri

jism-e-yar aa ki bechaari ko sahaara mil jae

shahr ki bhiD mujhe tera bulawa manzur

shart ye hai mera khoya hua sahra mil jae

tu KHuda hai to mujhe kufr mein mustahkam kar

ki mujhe raaz-e-sanam-KHana-e-duniya mil jae

hum to bas dhup ki shiddat mein kami chahte hain

kab kaha hai ki kahin rah mein saya mil jae

apne aaina-e-tauhid mein allah-miyan

dekhte rahiye koi aap hi jaisa mil jae

fasl-e-sher aai hai bazar-e-suKHan mein dekh aao

farhat-ehsas bhi shayad koi taza mil jae

(934) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jis Ko Jaisa Bhi Hai Darkar Use Waisa Mil Jae In English By Famous Poet Farhat Ehsas. Jis Ko Jaisa Bhi Hai Darkar Use Waisa Mil Jae is written by Farhat Ehsas. Read famous Poem Jis Ko Jaisa Bhi Hai Darkar Use Waisa Mil Jae for youth and Student by Farhat Ehsas. Free Download Jis Ko Jaisa Bhi Hai Darkar Use Waisa Mil Jae in PDF.