Kaam Un Aankhon Ki Hawasnaki Ki Sazish Aa Gai

kaam un aankhon ki hawasnaki ki sazish aa gai

aaKHir un parhez-gar aankhon ko KHwahish aa gai

main to samjha tha ki hum donon akele hain magar

us ko chhute hi hamare beach KHwahish aa gai

hum bahut KHush the magar ek din hamare darmiyan

kuchh alag se aur KHush hone ki koshish aa gai

baadalon ki tarah Takrae the do jism aur phir

bijliyan kaDkin aur us ke baad barish aa gai

us se milne ki koi surat nikalti hi na thi

aur tabhi dil ke ali-gaDh ki numaish aa gai

hum tasawwuf ke hue aalim tasawwuf chhoD kar

dil mohabbat se hua KHali to danish aa gai

farhat-ehsas aur asma ho gae ahl-e-nigah

dekhte hi dekhte yushi ko binish aa gai

(821) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kaam Un Aankhon Ki Hawasnaki Ki Sazish Aa Gai In English By Famous Poet Farhat Ehsas. Kaam Un Aankhon Ki Hawasnaki Ki Sazish Aa Gai is written by Farhat Ehsas. Read famous Poem Kaam Un Aankhon Ki Hawasnaki Ki Sazish Aa Gai for youth and Student by Farhat Ehsas. Free Download Kaam Un Aankhon Ki Hawasnaki Ki Sazish Aa Gai in PDF.