Kaisi Bala-e-jaan Hai Ye Mujhko Badan Kiye Hue

kaisi bala-e-jaan hai ye mujh ko badan kiye hue

miTTi ke is bides ko apna watan kiye hue

mere lab-e-wajud par sukhe paDe hue hain lafz

maujon zamana ho gaya us se suKHan kiye hue

aaya tha ek gul-e-visal daman-e-hijr mein kabhi

main hun us ek phul ko apna chaman kiye hue

us ki taraf se aaj tak shor na KHamushi koi

kab se hun us KHala ki samt ru-e-suKHan kiye hue

(783) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kaisi Bala-e-jaan Hai Ye Mujhko Badan Kiye Hue In English By Famous Poet Farhat Ehsas. Kaisi Bala-e-jaan Hai Ye Mujhko Badan Kiye Hue is written by Farhat Ehsas. Read famous Poem Kaisi Bala-e-jaan Hai Ye Mujhko Badan Kiye Hue for youth and Student by Farhat Ehsas. Free Download Kaisi Bala-e-jaan Hai Ye Mujhko Badan Kiye Hue in PDF.