KhaDi Hai Raat Andheron Ka Azhdaham Lagae

khaDi hai raat andheron ka azhdaham lagae

aur ek raushni baiThi hai apna kaam lagae

ye kam nahin ki KHarida usi pari ne hamein

agarche us ne bahut kam hamare dam lagae

main aaftab-zada hun kahan hai zulf us ki

ki aae aur meri aankhon pe apni sham lagae

main aaya kaam kiya apna aur chal bhi diya

zamana baiTha raha apna tam-jham lagae

na jaane kitne zamanon ki muntazir aankhen

rah-e-umid pe baiThi hui hain jam lagae

chaman mein us ne lagae hamare nam ke phul

to hum ne safha-e-hasti pe us ke nam lagae

magar main chhuT gaya mere zor-e-dasht ki KHair

tamam shahr raha qufl-e-intizam lagae

hamari bari ab aani hai kuza-gar se kaho

ki rang shoKH kare KHub KHak KHam lagae

mulazmat jo mili daftar-e-fana mein mili

phire the hum jo bahut arzi-e-dawam lagae

bana hai shahr ka sarmaya-kar yun 'ehsas'

ki ek halal lagane mein sau haram lagae

(724) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

KhaDi Hai Raat Andheron Ka Azhdaham Lagae In English By Famous Poet Farhat Ehsas. KhaDi Hai Raat Andheron Ka Azhdaham Lagae is written by Farhat Ehsas. Read famous Poem KhaDi Hai Raat Andheron Ka Azhdaham Lagae for youth and Student by Farhat Ehsas. Free Download KhaDi Hai Raat Andheron Ka Azhdaham Lagae in PDF.