KHalal Aaya Na Haqiqat Mein Na Afsana Bana

KHalal aaya na haqiqat mein na afsana bana

main to lagta hai ki bekar hi diwana bana

mar hi Dala tha sahil ke maraz ne mujh ko

ek sailab achanak hi shifa-KHana bana

jaise parchhain banai gai har jism ke sath

usi andaz se har shahr ka virana bana

masjid-e-jism jise koi namazi na mila

wahin ek sham meri ruh ka mai-KHana bana

farhat-ehsas se aati thi sada-e-girya

aaKHir-kar wo duniya ka aza-KHana bana

(724) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

KHalal Aaya Na Haqiqat Mein Na Afsana Bana In English By Famous Poet Farhat Ehsas. KHalal Aaya Na Haqiqat Mein Na Afsana Bana is written by Farhat Ehsas. Read famous Poem KHalal Aaya Na Haqiqat Mein Na Afsana Bana for youth and Student by Farhat Ehsas. Free Download KHalal Aaya Na Haqiqat Mein Na Afsana Bana in PDF.