KHak O KHun Ki Nai Tanzim Mein Shamil Ho Jao

KHak o KHun ki nai tanzim mein shamil ho jao

zinda rahna ho tumhein bhi to mera dil ho jao

be-badan ruh bane phirte rahoge kab tak

jao chupke se kisi jism mein daKHil ho jao

shahr tum ko jo pareshan bahut karta hai

dasht ban jao aur is shahr pe nazil ho jao

naKHun-e-ishq se phir sahl bana lenge tumhein

sohbat-e-shahr mein tum kitne hi mushkil ho jao

be-natija hi rahega ye musalsal Takrao

ya to duniya ke bano ya mutabaadil ho jao

haq-parasti bhi ajab kar-e-mohabbat hai jahan

ek qadam had se guzar jao to baatil ho jao

'farhat-ehsas' Thahar jao ye ujlat kaisi

abhi kuchh aur bhi ho lo kisi qabil ho jao

(784) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

KHak O KHun Ki Nai Tanzim Mein Shamil Ho Jao In English By Famous Poet Farhat Ehsas. KHak O KHun Ki Nai Tanzim Mein Shamil Ho Jao is written by Farhat Ehsas. Read famous Poem KHak O KHun Ki Nai Tanzim Mein Shamil Ho Jao for youth and Student by Farhat Ehsas. Free Download KHak O KHun Ki Nai Tanzim Mein Shamil Ho Jao in PDF.