KHud Se Inkar Ko Ham-zad Kiya Hai Maine

KHud se inkar ko ham-zad kiya hai main ne

main wahi hun jise barbaad kiya hai main ne

zulm andhere ka to surat meri tamir ki hai

raushni ka sitam ijad kiya hai main ne

koi karta ho jo diwar-e-faramoshi ko par

us se kah de ki use yaad kiya hai main ne

ab nikalta hi nahin is qafas-e-hal se kabhi

isi aaghosh ko sayyaad kiya hai main ne

mil ke shaitan se likha li ye zamin nam apne

phir ise mulk-e-KHuda-dad kiya hai main ne

farhat-ullah ko khola hai ba-andaz-e-ghazal

'farhat-ehsas' ko aazad kiya hai main ne

yaad aati hai to phir soch mein paD jata hun

sochta rahta hun kya yaad kiya hai main ne

fard ke lafz ko thi kasrat-e-mani ki talash

so use khol ke afrad kiya hai main ne

meri miTTi to kunwari ki kunwari hi rahi

jism ko sahib-e-aulad kiya hai main ne

us ke do husn hain karigari-e-KHak se ek

aur ek wo jise ijad kiya hai main ne

aap ka hi to tha israr kuchh irshad karo

aap hi chup hain jo irshad kiya hai main ne

(799) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

KHud Se Inkar Ko Ham-zad Kiya Hai Maine In English By Famous Poet Farhat Ehsas. KHud Se Inkar Ko Ham-zad Kiya Hai Maine is written by Farhat Ehsas. Read famous Poem KHud Se Inkar Ko Ham-zad Kiya Hai Maine for youth and Student by Farhat Ehsas. Free Download KHud Se Inkar Ko Ham-zad Kiya Hai Maine in PDF.