Kis Saliqe Se Wo Mujh Mein Raat-bhar Rah Kar Gaya

kis saliqe se wo mujh mein raat-bhar rah kar gaya

sham ko bistar sa khola subh ko tah kar gaya

waqt-e-ruKHsat tha hamare bahar andar itna shor

kuchh kaha tha us ne lekin jaane kya kah kar gaya

qatl hote sab ne dekha tha bhare bazar mein

ye na dekha KHun mera kis ki taraf bah kar gaya

Dubna hi tha so Duba chand us ke wasl ka

raat ko lekin hamesha ki shab muhayya kar gaya

sirf miTTi ho ke rahne mein tahaffuz hai yahan

jis ne koshish ki makan hone ki bas Dhah kar gaya

chaal jab bhi mil nahin pai zamin ki chaal se

kaisa kaisa sar-buland aaya tha aur Dhah kar gaya

dukh ka aaina ulaT deta hai har 'ehsas' ko

KHush gaya itna hi koi jitne dukh sah kar gaya

(827) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kis Saliqe Se Wo Mujh Mein Raat-bhar Rah Kar Gaya In English By Famous Poet Farhat Ehsas. Kis Saliqe Se Wo Mujh Mein Raat-bhar Rah Kar Gaya is written by Farhat Ehsas. Read famous Poem Kis Saliqe Se Wo Mujh Mein Raat-bhar Rah Kar Gaya for youth and Student by Farhat Ehsas. Free Download Kis Saliqe Se Wo Mujh Mein Raat-bhar Rah Kar Gaya in PDF.