Kuchh Batata Nahin Kya Saneha Kar BaiTha Hai

kuchh batata nahin kya saneha kar baiTha hai

dil mera ek zamana hua ghar baiTha hai

ye zamana mujhe bachcha sa nazar aane laga

jis tarah aa ke mere zer-e-nazar baiTha hai

mujh se dekhi nahin jati koi jati hui chiz

tere uThte hi mere dil mein jo Dar baiTha hai

farq mushkil hai bahut dasht ke bashindon mein

aadmi baiTha hai aisa ki shajar baiTha hai

pul ki tamir ka saman nahin ishq ke pas

ruh baiThi hai udhar jism idhar baiTha hai

raat-bhar us ne hi kohram macha rakkha tha

kaisa masum sa ab dida-e-tar baiTha hai

sare ahbab taraqqi ki taraf jate hue

'farhat-ehsas' sar-e-rahguzar baiTha hai

(913) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kuchh Batata Nahin Kya Saneha Kar BaiTha Hai In English By Famous Poet Farhat Ehsas. Kuchh Batata Nahin Kya Saneha Kar BaiTha Hai is written by Farhat Ehsas. Read famous Poem Kuchh Batata Nahin Kya Saneha Kar BaiTha Hai for youth and Student by Farhat Ehsas. Free Download Kuchh Batata Nahin Kya Saneha Kar BaiTha Hai in PDF.