Kuchh Bhi Na Kahna Kuchh Bhi Na Sunna Lafz Mein Lafz Utarne Dena

kuchh bhi na kahna kuchh bhi na sunna lafz mein lafz utarne dena

miTTi ka ye pyala apne aab-e-hayat se bharne dena

main bhi mahz ek jism nahin hun tum bhi mahz ek ruh nahin ho

jism-o-ruh ke aks ko un ke aaine mein utarne dena

apne jism ke aaine se har KHaki chilman ko haTa kar

samne baiThe rahna mere ruh ko meri sanwarne dena

sirf hawa-e-mohabbat hun main aaunga aur guzar jaunga

bas itna karna mujh ko apne andar se guzarne dena

aur kisi sahil par ja kar ubharunga ek aur badan mein

miTTi chhoD raha hun main mujh ko dariya mein utarne dena

tez hawa-e-taghaful ho tum main hun gard-o-ghubar-e-mohabbat

KHub maza aaega mujh ko samne apne bikharne dena

is 'ehsas' ko mat uljhana kisi bhi bahs-e-fana-o-baqa mein

jina chahe to jine dena marna chahe to marne dena

(770) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kuchh Bhi Na Kahna Kuchh Bhi Na Sunna Lafz Mein Lafz Utarne Dena In English By Famous Poet Farhat Ehsas. Kuchh Bhi Na Kahna Kuchh Bhi Na Sunna Lafz Mein Lafz Utarne Dena is written by Farhat Ehsas. Read famous Poem Kuchh Bhi Na Kahna Kuchh Bhi Na Sunna Lafz Mein Lafz Utarne Dena for youth and Student by Farhat Ehsas. Free Download Kuchh Bhi Na Kahna Kuchh Bhi Na Sunna Lafz Mein Lafz Utarne Dena in PDF.