Main Apne Ru-e-haqiqat Ko Kho Nahin Sakta

main apne ru-e-haqiqat ko kho nahin sakta

wo KHwab dekh liya hai ki so nahin sakta

tamam paikar-e-bad-surati hai mard ki zat

mujhe yaqin hai KHuda mard ho nahin sakta

ab apna ghair hi ho lun ki koi rah khule

jo hona chahta hun wo to ho nahin sakta

baDa sahi pa hai na-jins aasman ka bij

ise main apni zaminon mein bo nahin sakta

phanse hue hain KHud apni hi bhiD mein aansu

main rona chahta hun aur ro nahin sakta

tum apne jism ke kuchh to charagh gul kar do

main raushni hun ziyaada to so nahin sakta

tumhaare zaKHm hain 'ehsas' aur miTTi ke

main aansuon se to ye zaKHm dho nahin sakta

(741) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Main Apne Ru-e-haqiqat Ko Kho Nahin Sakta In English By Famous Poet Farhat Ehsas. Main Apne Ru-e-haqiqat Ko Kho Nahin Sakta is written by Farhat Ehsas. Read famous Poem Main Apne Ru-e-haqiqat Ko Kho Nahin Sakta for youth and Student by Farhat Ehsas. Free Download Main Apne Ru-e-haqiqat Ko Kho Nahin Sakta in PDF.