Main Shahri Hun Magar Meri Bayabani Nahin Jati

main shahri hun magar meri bayabani nahin jati

junun kuchh bhi pahan le us ki uryani nahin jati

nahin kuchh aur hoga wo mohabbat to nahin hogi

ki itni raushni itni ba-asani nahin jati

khule hain sare darwaze hamare qaid-KHane ke

ki darwaze talak zanjir-e-zindani nahin jati

buton ko dekhte hi huk si ek dil mein uThti hai

dil-e-momin se yaad-e-kufr-samani nahin jati

uTha lata hun main bazar se rose ek nai aafat

mere ghar se bala-e-saz-o-samani nahin jati

azal ka dagh-e-hijr itna hamare dil pe raushan hai

ki apni wasl ki arzi kahin mani nahin jati

main kab ka us ki hadd-e-did se bahar nikal aaya

magar us ki taraf se meri nigarani nahin jati

tamam aasab par tari hai nasri nazm duniya ki

magar 'ehsas'-sahab ki ghazal-KHwani nahin jati

(757) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Main Shahri Hun Magar Meri Bayabani Nahin Jati In English By Famous Poet Farhat Ehsas. Main Shahri Hun Magar Meri Bayabani Nahin Jati is written by Farhat Ehsas. Read famous Poem Main Shahri Hun Magar Meri Bayabani Nahin Jati for youth and Student by Farhat Ehsas. Free Download Main Shahri Hun Magar Meri Bayabani Nahin Jati in PDF.