Main Tamam Gard-o-ghubar Hun Mujhe Meri Surat-e-haal De

main tamam gard-o-ghubar hun mujhe meri surat-e-haal de

meri KHak hai ki uDi hui ise jism ke KHad-o-KHal de

ki na jaane kaun mere wajud pe panw rakh ke chala gaya

koi naqsh-e-pa hun ruka hua ise raste se nikal de

main karun to kya ki jame rahen mere panw meri zamin par

mere ghar mein mujh ko sambhaal ya mujhe mere ghar se nikal de

ye falak-shigaf imaraten mere aab o gil se bichhaD gain

mere aab o gil pe karam na kar tu imaraton ko zawal de

wo mila ki jaise bichhaD gaya koi saneha bhi nahin hua

mera ishq bhi koi ishq hai ki na KHush kare na malal de

mere honTh jaane kahan gae ki tere hi nam na le sake

mujhe harf o saut ke mawara koi aur KHwab-o-KHayal de

koi barf si hai jami hui meri choTiyan hain Dhaki hui

mera kohsar tulua ho mere paniyon ko ubaal de

(887) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Main Tamam Gard-o-ghubar Hun Mujhe Meri Surat-e-haal De In English By Famous Poet Farhat Ehsas. Main Tamam Gard-o-ghubar Hun Mujhe Meri Surat-e-haal De is written by Farhat Ehsas. Read famous Poem Main Tamam Gard-o-ghubar Hun Mujhe Meri Surat-e-haal De for youth and Student by Farhat Ehsas. Free Download Main Tamam Gard-o-ghubar Hun Mujhe Meri Surat-e-haal De in PDF.