Maut Hi Ek Dawa Hai Aur Wo Jari Hai

maut hi ek dawa hai aur wo jari hai

hum ko zinda rahne ki bimari hai

sirf udas rahoge gar tum sachche ho

baqi har jazba-e-mashq fankari hai

andar andar dar-ba-dari hi dar-ba-dari

bahar bahar KHub dar-o-diwari hai

jism bahut bhaari hain shahr ke logon ke

jismon mein dil hain to aur bhi bhaari hain

dariya mein sahil hain daKHl-andaz bahut

dariya bechaara kya hai bas jari hai

main to apne aap se aari hun kab se

phir ye kis ke hone ki tayyari hai

sher mein ek zara sa hota hai ilham

us ke baad to jo kuchh hai fankari hai

fankari to aire-ghaire bhi kar len

aslan to ilham mein hi dushwari hai

jism uDa phirta hai wahi bazaron mein

ruh wahi masruf-e-KHana-dari hai

chehra abhi tak hai KHana-abaad mera

us ke muqabil aaina-bazari hai

kasa-e-jism bana baiTha hai jab dekho

ye farhat-ehsas ajib bhikari hai

(1343) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Maut Hi Ek Dawa Hai Aur Wo Jari Hai In English By Famous Poet Farhat Ehsas. Maut Hi Ek Dawa Hai Aur Wo Jari Hai is written by Farhat Ehsas. Read famous Poem Maut Hi Ek Dawa Hai Aur Wo Jari Hai for youth and Student by Farhat Ehsas. Free Download Maut Hi Ek Dawa Hai Aur Wo Jari Hai in PDF.