Mere Sheron Mein Fankari Nahin Hai

mere sheron mein fankari nahin hai

ki mujh mein itni hushyari nahin hai

dawa-e-maut kyun lete ho itni

agar jine ki bimari nahin hai

badan phir se uga legi ye miTTi

ki main ne jaan abhi haari nahin hai

mohabbat hai hi itni saf-o-sada

ye meri sahl-angari nahin hai

ise bachchon ke hathon se uThao

ye duniya is qadar bhaari nahin hai

main us patthar se Takraata hun be-kar

zara bhi us mein chingari nahin hai

na kyun sajda kare apne buton ka

ye sar masjid ka darbari nahin hai

gaya ye kah ke mujh se ishq ka rog

ki tujh ko shauq-e-bimari nahin hai

hamara ishq karna jism ke sath

ibaadat hai gunahgari nahin hai

ba-rah-e-jism hai sara tasawwuf

badan sufi hai braham-zhaari nahin hai

ye koi aur hoga 'farhat-ehsas'

nahin ye bhi meri bari nahin hai

(730) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mere Sheron Mein Fankari Nahin Hai In English By Famous Poet Farhat Ehsas. Mere Sheron Mein Fankari Nahin Hai is written by Farhat Ehsas. Read famous Poem Mere Sheron Mein Fankari Nahin Hai for youth and Student by Farhat Ehsas. Free Download Mere Sheron Mein Fankari Nahin Hai in PDF.