Mere Subut Bahe Ja Rahe Hain Pani Mein

mere subut bahe ja rahe hain pani mein

kise gawah banaun sara-e-fani mein

jo aansuon mein nahate rahe so pak rahe

namaz warna kise mil saki jawani mein

bhaDak uThe hain phir aaankhon mein aansuon ke charagh

phir aaj aag laga di gai hai pani mein

hamin the aaise kahan ke ki apne ghar jate

baDe-baDon ne guzari hai be-makani mein

ye be-kanar badan kaun par kar paya

bahe chale gae sab log is rawani mein

visal o hijr ki ek ek charagh the donon

siyah ho ke rahe shab ke be-karani mein

bas ek lams ki jal jaen sab KHas-o-KHashak

ise visal bhi kahte hain KHush-bayani mein

kahani KHatm hui tab mujhe KHayal aaya

tere siwa bhi to kirdar the kahani mein

na chahiye mujhe wo aasman jo mera na ho

main KHush hun apni hi miTTi ki aasmani mein

(739) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mere Subut Bahe Ja Rahe Hain Pani Mein In English By Famous Poet Farhat Ehsas. Mere Subut Bahe Ja Rahe Hain Pani Mein is written by Farhat Ehsas. Read famous Poem Mere Subut Bahe Ja Rahe Hain Pani Mein for youth and Student by Farhat Ehsas. Free Download Mere Subut Bahe Ja Rahe Hain Pani Mein in PDF.