Meri Koi Tarif Nahin Hai Main Waqfon Waqfon Mein Hun

meri koi tarif nahin hai main waqfon waqfon mein hun

jaane kin lamhon mein nahin hun jaane kin lamhon mein hun

baqi hissa paDa hua hai jaane kis tariki mein

main bas utna hi zinda hun jis had tak lafzon mein hun

sanson ka aana jaana mere hone ki dalil nahin

do sanson ke bich KHala karne wale lamhon mein hun

muddat guzri ek ibaadat mein fariyaad guzari thi

main apni hi zat ke ghar mein na-jaez qabzon mein hun

wo uslub kahan se hasil ho jo mujh ko nazm kare

razmiyye ki ek katha chhoTi chhoTi bahron mein hun

(700) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Meri Koi Tarif Nahin Hai Main Waqfon Waqfon Mein Hun In English By Famous Poet Farhat Ehsas. Meri Koi Tarif Nahin Hai Main Waqfon Waqfon Mein Hun is written by Farhat Ehsas. Read famous Poem Meri Koi Tarif Nahin Hai Main Waqfon Waqfon Mein Hun for youth and Student by Farhat Ehsas. Free Download Meri Koi Tarif Nahin Hai Main Waqfon Waqfon Mein Hun in PDF.