Meri MiTTi Ka Nasab Be-sar-o-samani Se

meri miTTi ka nasab be-sar-o-samani se

kaam kuchh us ko hawa se na talab pani se

mere atraf nigahon ki ye diwar na khinch

aur aawara hua jata hun nigarani se

apne aaine se toD aa ke mera aaina

apne aaine ko bhar kar meri hairani se

hum jo ek umr laga dete hain pas aane mein

kaise lamhon mein bichhaD jate hain aasani se

hai yahi waqt ki patthar se KHuda paida ho

dekh ab nur Tapakne laga peshani se

ishq ko hai yahi ek surat-e-izhaar nasib

jo bhi kahna hai kahe chaak-garebani se

shahr ho jata hai pahle to junun-e-nakaam

toDta hai phir ise sang-e-bayabani se

'farhat-ehsas' usi jahl se kar phir se rujua

tere haq mein yahi behtar hai hama-dani se

(738) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Meri MiTTi Ka Nasab Be-sar-o-samani Se In English By Famous Poet Farhat Ehsas. Meri MiTTi Ka Nasab Be-sar-o-samani Se is written by Farhat Ehsas. Read famous Poem Meri MiTTi Ka Nasab Be-sar-o-samani Se for youth and Student by Farhat Ehsas. Free Download Meri MiTTi Ka Nasab Be-sar-o-samani Se in PDF.