Nahin Dekhta Din Jise Chashm-e-shab Dekhti Hai

nahin dekhta din jise chashm-e-shab dekhti hai

andhera bhi ek dusre rang ki raushni hai

purane andheron ko aankhon mein mahfuz rakhna

nai raushni kuchh yaqini nahin raushni hai

chali jae bazar mein raushni jab achanak

chamakne lage jo bas ek dam wahi aadmi hai

chimaT jae jo jism se maut se lamha pahle

jise rokna ghair-mumkin ho wo zindagi hai

usi ki badaulat to ghar apna ghar lag raha hai

jo chizon ki bhar-mar mein ek zara si kami hai

phaTe-haal aisa yahan koi aur ab kahan hai

zara ghaur se dekhna farhat-ehsas hi hai

(716) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Nahin Dekhta Din Jise Chashm-e-shab Dekhti Hai In English By Famous Poet Farhat Ehsas. Nahin Dekhta Din Jise Chashm-e-shab Dekhti Hai is written by Farhat Ehsas. Read famous Poem Nahin Dekhta Din Jise Chashm-e-shab Dekhti Hai for youth and Student by Farhat Ehsas. Free Download Nahin Dekhta Din Jise Chashm-e-shab Dekhti Hai in PDF.