Musalsal Ashk-bari Ho Rahi Hai

musalsal ashk-bari ho rahi hai

meri miTTi bahaari ho rahi hai

diye ki ek lau aur taKHta-e-shab

ajab surat-nigari ho rahi hai

ye mera kuchh na hona darj kar lo

agar mardum-shumari ho rahi hai

main jugnu aur tu itni baDi raat

zara si chiz bhaari ho rahi hai

bahut bhaari hain ab miTTi ki palken

badan par nind tari ho rahi hai

ye bahar shor kaisa ho raha hai

ye kaisi mara-mari ho rahi hai

zara hathon mein mere hath dena

baDi be-aKHtyari ho rahi hai

hum apne aap se bichhDe hue hain

tabhi to itni KHwari ho rahi hai

wahi phir yak-qalam mansuKH hun main

kitab-e-ishq jari ho rahi hai

kahan rakh aae wo sada-libasi

ye kya goTa kanari ho rahi hai

nahin hoti ye harjai kisi ki

to kyun duniya hamari ho rahi hai

sunao sher apne 'farhat-ehsas'

ye shab kya KHub qari ho rahi hai

(1436) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Musalsal Ashk-bari Ho Rahi Hai In English By Famous Poet Farhat Ehsas. Musalsal Ashk-bari Ho Rahi Hai is written by Farhat Ehsas. Read famous Poem Musalsal Ashk-bari Ho Rahi Hai for youth and Student by Farhat Ehsas. Free Download Musalsal Ashk-bari Ho Rahi Hai in PDF.