Na-qabil-e-yaqin Tha Agarche Shurua Mein

na-qabil-e-yaqin tha agarche shurua mein

suraj magar ghurub hua tha tulua mein

mulla ko de diya hai namazon ka baqi kaam

KHud ko laga liya hai KHushu-o-KHuzua mein

sirf ek chehra ek hi nam ek hi KHayal

hota hai sab ke sath yahi sab shurua mein

itne halala-baz agar ghat mein na hon

kya aisa fasla hai talaq-o-rujua mein

shayad meri namaz yahin KHatm ho gai

ek umr ho gai ki ruka hun rukua mein

mohmal sahi pa tab-o-tawanai dekhiye

us ain se jo aai hai is aab-o-jua mein

urdu mein to bas ek wuzu aur ek namaz

do do namazen hoti hain arabi wuzua mein

aslen tamam nachti gati guzar gain

dekha nahin kisi ne wafur-e-furua mein

'ehsas' kya hai ye 'zafar' 'iqbaal' ki tarah

tausia ain sher ki hadd-e-wuqua mein

(748) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Na-qabil-e-yaqin Tha Agarche Shurua Mein In English By Famous Poet Farhat Ehsas. Na-qabil-e-yaqin Tha Agarche Shurua Mein is written by Farhat Ehsas. Read famous Poem Na-qabil-e-yaqin Tha Agarche Shurua Mein for youth and Student by Farhat Ehsas. Free Download Na-qabil-e-yaqin Tha Agarche Shurua Mein in PDF.