Pahle Qabristan Aata Hai Phir Apni Basti Aati Hai

pahle qabristan aata hai phir apni basti aati hai

jaane kitni qabron se ho kar sham-e-hasti aati hai

chaDh kar sari sharaben jab auqat pe apni aa jati hain

chaDhta hai dariya-e-KHun aur miTTi ko masti aati hai

raushni us ki Dak se aane mein to zamane lag jate hain

is dauran ek nur ki chiTThi kabhi kabhi dasti aati hai

bazar-e-hasti jate hain kya kya KHwahish le kar lekin

maut KHarid ke le aate hain kyun ki zara sasti aati hai

kachchi miTTi ke 'farhat-ehsas' zara pani mein sambhal kar

dariya mein tum KHub nahate ho jab bhi masti aati hai

(1556) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Pahle Qabristan Aata Hai Phir Apni Basti Aati Hai In English By Famous Poet Farhat Ehsas. Pahle Qabristan Aata Hai Phir Apni Basti Aati Hai is written by Farhat Ehsas. Read famous Poem Pahle Qabristan Aata Hai Phir Apni Basti Aati Hai for youth and Student by Farhat Ehsas. Free Download Pahle Qabristan Aata Hai Phir Apni Basti Aati Hai in PDF.