Raqs-e-ilham Kar Raha Hun

raqs-e-ilham kar raha hun

main jism-e-kalam kar raha hun

meri hai jo KHas apni miTTi

us KHas ko aam kar raha hun

ek mushkil saKHt aa paDi hai

ek subh ko sham kar raha hun

duniya se kaho zara sa Thahre

is waqt aaram kar raha hun

chup chap paDa hua hun ghar mein

aur shahr mein nam kar raha hun

miTTi ko palaT raha hun apni

puKHta ko KHam kar raha hun

kya kaam hai jaanna hai mujh ko

ek sirf ye kaam kar raha hun

be-rabti-e-jism-o-jaan fuzun-tar

tauhin-e-nizam kar raha hun

KHushbu-e-KHuda laga ke KHud par

mazhab ko haram kar raha hun

iman ne kuchh suni na meri

so kufr pe kaam kar raha hun

allah-miyan ke mashware se

tark-e-islam kar raha hun

ai zindabaad farhat-ehsas

main tujh ko salam kar raha hun

(780) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Raqs-e-ilham Kar Raha Hun In English By Famous Poet Farhat Ehsas. Raqs-e-ilham Kar Raha Hun is written by Farhat Ehsas. Read famous Poem Raqs-e-ilham Kar Raha Hun for youth and Student by Farhat Ehsas. Free Download Raqs-e-ilham Kar Raha Hun in PDF.