Sab Mera Aab-e-rawan Kis Ke Ishaaron Pe Baha Jata Hai

sab mera aab-e-rawan kis ke ishaaron pe baha jata hai

aur ek shahr mere donon kinaron pe basa jata hai

mauj mein aate hi lag jati hai honThon pe badan ki miTTi

aur is zaiqa-e-ghair se sab mera maza jata hai

ahl-e-iman idhar aaraish-e-masjid mein lage hain aur udhar

apna saman uThae hue masjid se KHuda jata hai

koi mujh jaisa hi roz aata hai aankhon mein liye sabza-e-dasht

ek hara KHat dar-o-diwar ko deta hai chala jata hai

chalti hai aaine mein kitne zamanon ki hawa-e-hairat

ek rang aata hai chehre pe to ek rang uDa jata hai

meri ek umr aur ek ahd ki tariKH raqam hai jis par

kaise rokun ki wo aansu meri aankhon se gira jata hai

chaak karna hi gareban ka sikhaya hai junun ne mujh ko

main ne sikha hi nahin kaise gareban ko siya jata hai

'farhat-ehsas' ne dekha hai falak par kahin ek KHitta-e-KHwab

bech Dali hai tamam arz-e-badan us ne suna jata hai

(676) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sab Mera Aab-e-rawan Kis Ke Ishaaron Pe Baha Jata Hai In English By Famous Poet Farhat Ehsas. Sab Mera Aab-e-rawan Kis Ke Ishaaron Pe Baha Jata Hai is written by Farhat Ehsas. Read famous Poem Sab Mera Aab-e-rawan Kis Ke Ishaaron Pe Baha Jata Hai for youth and Student by Farhat Ehsas. Free Download Sab Mera Aab-e-rawan Kis Ke Ishaaron Pe Baha Jata Hai in PDF.